Thursday, August 10, 2006

Na gul-e-naGhma huN, na parda-e-saaz....Ghalib

na gul-e-naGhma huuN na parda-e-saaz
maiN huuN apnii shikast kii aavaaz

tuu aur aaraaiish-e-Kham-kaakul
maiN aur andesha-e-haae duur-o-daraaz

laaf-e-tamkiiN fareb-e-saada-dilii
ham haiN aur raazhaa-e-siina-e-gudaaz

nahiiN dil meN mere voh qatra-e-KhuuN
jis-se miZhgaaN huii na ho gulbaaz

mujhko puuchha to kuchh Ghazab na huaa
maiN Ghariib aur tuu Ghariib navaaz

asadullah KhaN tamaam huaa
aye dariiGha voh rind-e-shaahid baaz

(Asadullah Khan Ghalib)

Isn't that a simple one! Still, gulbaaz! gulbaazi was a game played with flowers--rose and marigold. For reading in Urdu and Devanagari (Hindi) Click on www.urduindia.wordpress.com