Saturday, August 05, 2006

tere firaaq kii raateN kabhii na bhuulengii..

kisii kalii ne bhii dekhaa na aaNkh bhar ke mujhe
guzar ga'ii jaras-e-gul udaas karke mujhe

maiN so rahaa thaa kisii yaad ke shabistaaN meN
jagaa ke chhoR gaye qaafle sahar ke mujhe

maiN ro rahaa thaa muqaddar kii saKht raahoN meN
uRa ke le gaye jaduu terii nazar ke mujhe

maiN tere dard ki tuGhyaaniyoN meN duub gayaa
pukaarte rahe taare ubhar ubhar ke mujhe

tere firaaq kii rateN kabhii na bhuuleNgii
maze mile inhiiN raatoN meN umar bhar ke mujhe


zaraa sii der Thaharne de aye Gham-e-duniaa
bulaa rahaa hai ko'ii baam se utar ke mujhe

phir aaj aa'ii thii ek mauj-ai-hawaa-e-tarb
sunaa ga'ii hai fasaane idhar udhar ke mujhe

(Nasir Kazmi)

To read this ghazal in Urdu and devanaagari Click on
http://urduindia.wordpress.com/2006/08/04/uraa-le-gaye-jaduu-terii-nazar-ke-mujhe-nasir-kazmis-ghazal/