Thursday, August 24, 2006

...zindagi kaahe ko hai, Khwaab hai deevane ka

ek moa'mma hai samajhne ka na samjhaane kaa
zindagi kaahe ko hai, Khwaab hai diivaane kaa

Khalq kahtii hai jise dil tere diivaane kaa
ek goshaa hai yah duniaa isii viiraane kaa

muKhtasar qissa-e-Gham yeh hai ki dil rakhtaa huuN
raaz-e-kaunain Khulaasa hai is afsaane kaa

dil se ponhchii to haiN aaNkhoN meN lahuu ki buundeN
silsilaa shiishe se miltaa to hai paimaane kaa

husn hai zaat merii ishq, sifat hai merii
huuN to maiN shamaa' magar bhes hai parvaane kaa

hamne chhaanii haiN boh't dair-o-haram ki galiyaaN
kahiiN paayaa na Thikaana tere diivaane kaa

har nafs umr-e-guzishtaa ki hai mayyat Faani
zindagii naam hai mar mar ke jiye jaane kaa

Click to read in Urdu Script