Sunday, April 15, 2007

Fazal Tabish, the maverick poet

Fazal Tabish, Urdu zubaan ka baaNkaa shaair thaa. This is often you get to hear about Fazal Sahab. I had heard a lot about him especially his personality and bohemian lifestyle.

shakhsiyat hai ki sirf gaalii hai
jaane kis shakhs ne uchhaalii hai

shahar dr shahar haath ugte haiN
kuchh to hai jo har ek savaalii hai

jo bhii haath aaye TuuT kar chaaho
haar ke yah ravish nikaalii hai

meer kaa dil kahaaN se laaoge
Khuun kii buund to bachaa lii hai

jism meN bhii utar ke dekh liyaa
haath Khaalii thaa ab bhii khaalii hai

resha resha udheD kar dekho
roshnii kis jagah se kaalii hai

din ne chehraa kharoNch Daalaa thaa
jab to suuraj pe Khaak Daalii hai

Click for the ghazal in Hindi and Urdu scripts here