Sunday, May 21, 2006

Na mandir mein sanam hotay na masjid mein khuda hota....Naushad


Na mandir mein sanam hotay na masjid mein khuda hota/
HameeN se yah tamasha hai na ham hotay to kya hota

Na aisii manzilein hoteeN na aisa raasta hota/
Sambhal kar ham zara chalte to aalam zer-e-paa hota

Ghata chhati, bahaar aati, tumhara tazkira hota/
Phir uske baad gul khiltay ki zakhm-e-dil hara hota

Bula kar tumnay mehfil mein hamko ghair se uthwaya/
HameeN khud uth gaye hotay ishara kar diya hota

Tere ahbaab tujh se mil ke bhi mayoos laut gaye
Tujhe Naushaad kaisi chup lagi thi kuchh to kaha hota!

[Naushad, the legendary musician/music director (composer) who passed away recently was also a noted Urdu poet. This is a ghazal of Naushad Lucknowi (Lakhnawi)]



न मन्दिर में सनम होते न मस्जिद में ख़ुदा होता
हमीं से है यह तमाशा है न हम होते तो क्या होता

न ऐसी मंज़िलें होतीं न ऐसा रास्ता होता
संभल कर हम ज़रा चलते तो आलम ज़ेर-ए-पा होता

घटा छाती बहार आती तुम्हारा तज़्किरा होता
फिर उसके बाद गुल खिलते कि ज़ख़्म-ए-दिल हरा होता

बुला के मह्फ़िल में तुमने हमको ग़ैरों से उठवाया
हमीं ख़ुद उठ गये होते इशारा कर दिया होता

तेरे अह्बाब तुझ्से मिल के भी मायूस लौट गये
तुझे नौशाद कैसी चुप लगी थी कुछ कहा होता

नौशाद लखनवी

2 comments:

Anonymous said...

Has Naushad written more ghazals.

mahendra said...

shukria